Shayari
kaun jiine ke liye martaa rahe
lo sambhaalo apni duniyaa ham chale
dushman-e-jaan hi sahi saath to ik umr kaa hai
dil se ab dard ki rukhsat nahin dekhi jaati
دشمن جاں ہی سہی ساتھ تو اک عمر کا ہے
دل سے اب درد کی رخصت نہیں دیکھی جاتی
दुश्मन-ए-जाँ ही सही साथ तो इक उम्र का है
दिल से अब दर्द की रुख़्सत नहीं देखी जाती

kaun jiine ke liye martaa rahe
lo sambhaalo apni duniyaa ham chale
kis ko fursat thi ki 'akhtar' dekhtaa meri taraf
main jahaan jis bazm mein jab tak rahaa tanhaa rahaa
band rakkhoge dariche dil ke yaaro kab talak
koi dastak de rahaa hai uTh ke dekho to sahi
charaagh le ke use DhunDne chalaa huun main
jo aaftaab ki maanind ik ujaalaa hai
bahut qarib rahi hai ye zindagi ham se
bahut aziiz sahi e'tibaar kuchh bhi nahin
tu kahaani hi ke parde mein bhali lagti hai
zindagi teri haqiqat nahin dekhi jaati
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
roz-e-jazaa gila to kyaa shukr-e-sitam hi ban paDaa
haae ki dil ke dard ne dard ko dil banaa diyaa
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi