Shayari
tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
TuuTi nishast-e-dil to mohabbat ki aabru
vaapas usi maqaam pe laai na jaa saki
ٹوٹی نشست دل تو محبت کی آبرو
واپس اسی مقام پہ لائی نہ جا سکی
टूटी निशस्त-ए-दिल तो मोहब्बत की आबरू
वापस उसी मक़ाम पे लाई न जा सकी

tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
main ne jitne bhi log dekhe hain
sab ke sinon mein rog dekhe hain
khinch laati hai samundar se jazire sar-e-aab
jab miri aankh ko manzar ki tamanna ho jaae
itne zaalim na bano kuchh to muravvat sikho
tum pe marte hain to kyaa maar hi Daaloge hamein
main to itnaa bhi samajhne se rahaa hon qaasir
raah takne ke sivaa aankh kaa maqsad kyaa hai
tum ne taaron ko rahnumaa jaanaa
ham ne taaron ki rahnumaai ki
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa