Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
dil mein letaa hai chuTkiyaan koi
haae is dard ki davaa kyaa hai
دل میں لیتا ہے چٹکیاں کوئی
ہائے اس درد کی دوا کیا ہے
दिल में लेता है चुटकियाँ कोई
हाए इस दर्द की दवा क्या है

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai