Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
kuchh to tanhaai ki raaton mein sahaaraa hotaa
tum na hote na sahi zikr tumhaaraa hotaa
کچھ تو تنہائی کی راتوں میں سہارا ہوتا
تم نہ ہوتے نہ سہی ذکر تمہارا ہوتا
कुछ तो तन्हाई की रातों में सहारा होता
तुम न होते न सही ज़िक्र तुम्हारा होता

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
shahr mein raunaqein sahi 'tanhaa'
apne gaanv se mat kinaaraa kar
maar Daalegi ek din 'tanhaa'
ye tiri shokhi-e-jamaal mujhe
hamaari aankhon mein be-vajh aa gae aansu
yaqin kiije kisi baat par nahin aae