Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
maanaa ki sab ke saamne milne se hai hijaab
lekin vo khvaab mein bhi na aaein to kyaa karein
مانا کہ سب کے سامنے ملنے سے ہے حجاب
لیکن وہ خواب میں بھی نہ آئیں تو کیا کریں
माना कि सब के सामने मिलने से है हिजाब
लेकिन वो ख़्वाब में भी न आएँ तो क्या करें

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
'suhail' un doston kaa ji lage kis tarah college mein
jo dars-e-shauq lete hain kitaab-e-ru-e-jaanaan se
main ne har takhrib mein dekhi hai ik taamir bhi
meraa miT jaanaa bhi hai himmat-fazaa mere liye
main jaantaa huun tiri ruuh ki talab jaanaan
tujhe badan ki taraf se nahin chuungaa main