Shayari
chaDhe hue hain jo dariyaa utar bhi jaaeinge
mire baghair tire din guzar bhi jaaeinge
ab dard bhi ik had se guzarne nahin paataa
ab hijr mein vo pahli si vahshat nahin hoti
اب درد بھی اک حد سے گزرنے نہیں پاتا
اب ہجر میں وہ پہلی سی وحشت نہیں ہوتی
अब दर्द भी इक हद से गुज़रने नहीं पाता
अब हिज्र में वो पहली सी वहशत नहीं होती

chaDhe hue hain jo dariyaa utar bhi jaaeinge
mire baghair tire din guzar bhi jaaeinge
ab dil bhi dukhaao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti
sitaara aankh mein dil mein gulaab kyaa rakhnaa
ki Dhalti umr mein rang-e-shabaab kyaa rakhnaa
do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah lein
is umr mein ab ham se baghaavat nahin hoti
bas itnaa yaad hai ik bhuul si hui thi kahin
ab is se baDh ke dukhon kaa hisaab kyaa rakhnaa
paanv uThte hain kisi mauj ki jaanib lekin
rok letaa hai kinaara ki Thahar paani hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chaand tanhaa hai aasmaan tanhaa
dil milaa hai kahaan kahaan tanhaa
baad-e-fanaa bhi khair se tanhaa nahin hain ham
bandon se chhuT gae to farishton mein aa mile