Shayari
niind aati hai magar jaag rahaa huun sar-e-khvaab
aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai
tum kisi sang pe ab sar ko Tikaa kar so jaao
kaun suntaa hai shab-e-gham kaa fasaanaa sar-e-raah
تم کسی سنگ پہ اب سر کو ٹکا کر سو جاؤ
کون سنتا ہے شب غم کا فسانا سر راہ
तुम किसी संग पे अब सर को टिका कर सो जाओ
कौन सुनता है शब-ए-ग़म का फ़साना सर-ए-राह

niind aati hai magar jaag rahaa huun sar-e-khvaab
aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai
kisi ki aankh kaa taaraa huaa karte the ham bhi to
achaanak shaam kaa taaraa nazar aayaa to yaad aayaa
avvalin chaal se aage nahin sochaa main ne
ziist shatranj ki baazi thi so main haar gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main jab bhi ghar se nikaltaa huun raat ko tanhaa
charaagh le ke koi saath saath chaltaa hai
dard baDh kar davaa na ho jaae
zindagi be-mazaa na ho jaae
hamein duniyaa mein apne gham se matlab
zamaane ki khushi se vaastaa kyaa