Shayari
mujhe aankhein dikhaaegi bhalaa kyaa gardish-e-dauraan
miri nazron ne dekhaa hai tiraa naa-mehrbaan honaa
A
Aleem Akhtar Muzaffarnagridard baDh kar davaa na ho jaae
zindagi be-mazaa na ho jaae
درد بڑھ کر دوا نہ ہو جائے
زندگی بے مزا نہ ہو جائے
दर्द बढ़ कर दवा न हो जाए
ज़िंदगी बे-मज़ा न हो जाए
mujhe aankhein dikhaaegi bhalaa kyaa gardish-e-dauraan
miri nazron ne dekhaa hai tiraa naa-mehrbaan honaa
dard kaa phir maza hai jab 'akhtar'
dard khud chaarasaaz ho jaae
ye aur baat ki iqraar kar sakein na kabhi
miri vafaa kaa magar un ko e'tibaar to hai
hamein duniyaa mein apne gham se matlab
zamaane ki khushi se vaastaa kyaa
vo ta'alluq hai tire gham se ki allaah allaah
ham ko haasil ho khushi bhi to gavaaraa na karein
mujhe to kal bhi na thaa un par ikhtiyaar koi
aur un ko mujh pe vahi ikhtiyaar aaj bhi hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
rakhte hain dahaanon pe sadaa mohr-e-khamoshi
ve log jinhein aati hai guftaar-e-mohabbat
munis-e-taaza hain ye dard-o-alam
muddaton kaa rafiq hai gham to
tere naghmon se hai rag rag mein tarannum paidaa
ishrat-e-ruh hai zaalim tiri aavaaz nahin