Shayari
kyuun bataataa nahin koi kuchh bhi
aakhir aisaa bhi kyaa huaa hai mujhe
jaane kis baat se dukhaa hai bahut
dil kai roz se khafaa hai bahut
جانے کس بات سے دکھا ہے بہت
دل کئی روز سے خفا ہے بہت
जाने किस बात से दुखा है बहुत
दिल कई रोज़ से ख़फ़ा है बहुत

kyuun bataataa nahin koi kuchh bhi
aakhir aisaa bhi kyaa huaa hai mujhe
khud-kushi jaisi koi baat nahin
ik zaraa mujh ko bad-gumaani hai
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hotaa
nayaa saa dukh hai to thoDaa chhalak gayaa huun main
sab sitaare dilaasa dete hain
chaand raaton ko chikhtaa hai bahut
kyaa zarurat hai mujh ko chehre ki
kaun chehre se jaantaa hai mujhe
main bhi bikhraa huaa huun apnon mein
vo bhi tanhaa saa apne ghar mein hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
mujhe phunkne se pahle miraa dil nikaal lenaa
ye kisi ki hai amaanat mire saath jal na jaae