Shayari
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
kahin salib kahin karbalaa nazar aae
jidhar nigaah uThe zakhm saa nazar aae
کہیں صلیب کہیں کربلا نظر آئے
جدھر نگاہ اٹھے زخم سا نظر آئے
कहीं सलीब कहीं कर्बला नज़र आए
जिधर निगाह उठे ज़ख़्म सा नज़र आए

sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
honaa paDaa hai khugar-e-gham bhi khushi ki khair
vo mujh pe mehrbaan hain magar be-rukhi ke saath
apne hamraah khud chalaa karnaa
kaun aaegaa mat rukaa karnaa
muztarib hain maujein kyuun uTh rahe hain tufaan kyuun
kyaa kisi safine ko aarzu-e-saahil hai
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
main ne kyuun tark-e-taalluq ki jasaarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashimaan hoge
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
un ko ai narm havaa khvaab-e-junun se na jagaa
raat mai-khaane ki aae hain guzaare hue log
khair dozakh mein mai mile na mile
shaikh-saahab se jaan to chhuTegi
zakhm risne lagaa hai phir shaayad
yaad us ne kiyaa hai phir shaayad
saaqi ye khamoshi bhi to kuchh ghaur-talab hai
saaqi tire mai-khvaar baDi der se chup hain