Shayari
sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
saaqi ye khamoshi bhi to kuchh ghaur-talab hai
saaqi tire mai-khvaar baDi der se chup hain
ساقی یہ خموشی بھی تو کچھ غور طلب ہے
ساقی ترے مے خوار بڑی دیر سے چپ ہیں
saaqī ye ḳhamoshī bhī to kuchh ġhaur-talab hai
saaqī tire mai-ḳhvār baḌī der se chup haiñ

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
TuuTaa to huun magar abhi bikhraa nahin 'faraaz'
mere badan pe jaise shikaston kaa jaal ho
'faraaz' ishq ki duniyaa to khub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hain
zindagi teri ataa thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tiraa ehsaan jaanaan
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kyaa kyaa pukaarein sisakti dekhin lafzon ke zindaanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
khaamoshi mein rahne vaale logon ko
sannaaTe ki guunj sunaai deti hai
khamoshi kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa
havaa chup ho to baarish ke shadid aasaar hote hain
tiraa chaDhaa huaa dariyaa samajh mein aataa hai
tire khamosh kinaare nahin samajhtaa huun
chup raho kyuun mizaaj puchhte ho
ham jiein yaa marein tumhein kyaa hai