Shayari
par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne
kaaba-o-dair mein ab DhunD rahi hai duniyaa
jo dil-o-jaan mein bastaa thaa khudaa aur hi thaa
کعبہ و دیر میں اب ڈھونڈ رہی ہے دنیا
جو دل و جان میں بستا تھا خدا اور ہی تھا
का'बा-ओ-दैर में अब ढूँड रही है दुनिया
जो दिल-ओ-जान में बस्ता था ख़ुदा और ही था

par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne
manzil apni DhunD rahe ho
rasta duuje kaa chalte ho
dafnaa diyaa thaa jin ko gunje hain har taraf ab
meri khamoshiyon ko aavaaz mil gai hai
chaahti thi ki log kam hi milein
so andheron mein hi qayaam kiyaa
meri saanson ne aaj dastak di
yaad aayaa ki haan main zinda huun
tujhi se guftugu har dam tiri hi justuju har dam
miri aasaaniyaan tujh se miri mushkil hai tu hi tu
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
'ajib haal hai tujh se bichhaD ke bhi ab tak
ye dil tujhi se bichhaDne ke Dar mein rahtaa hai
ye bahs chhoD ke kitni hasin hai duniyaa
tu ye bataa ki teraa dil kahin lagaa ki nahin
faqat zanjir badli jaa rahi thi
main samjhaa thaa rihaai ho gai hai
ghar mein vahi piili tanhaai rahti hai
divaaron ke rang badalte rahte hain