Shayari
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
us kaa vaada hai lauT aane kaa
aur miraa intizaar kaa vaada
اس کا وعدہ ہے لوٹ آنے کا
اور مرا انتظار کا وعدہ
उस का वा'दा है लौट आने का
और मिरा इंतिज़ार का वा'दा

barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne
manzil apni DhunD rahe ho
rasta duuje kaa chalte ho
dafnaa diyaa thaa jin ko gunje hain har taraf ab
meri khamoshiyon ko aavaaz mil gai hai
chaahti thi ki log kam hi milein
so andheron mein hi qayaam kiyaa
tujhi se guftugu har dam tiri hi justuju har dam
miri aasaaniyaan tujh se miri mushkil hai tu hi tu
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
intizaar aap kaa aisaa hai ki dam kahtaa hai
nigah-e-shauq huun aankhon se nikal jaaungaa
miri naash ke sirhaane vo khaDe ye kah rahe hain
ise niind yuun na aati agar intizaar hotaa
main muntazir huun kisi aise vasl kaa jis mein
mire badan pe tire jism kaa libaas rahe
tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jaae
muntazir dil ki munaajaat mukammal ho jaae