Shayari
tere bas mein hai mo'tabar kar de
main huun qatra mujhe guhar kar de
dekhtaa roz hai vo mujh ko magar jaane kyon
chaand se apni koi baat nahin hoti hai
دیکھتا روز ہے وہ مجھ کو مگر جانے کیوں
چاند سے اپنی کوئی بات نہیں ہوتی ہے
देखता रोज़ है वो मुझ को मगर जाने क्यों
चाँद से अपनी कोई बात नहीं होती है

tere bas mein hai mo'tabar kar de
main huun qatra mujhe guhar kar de
du'aa karo ki koi raah vasl ki nikle
tamaam 'umr muhaajir nahin raheinge ham
hijr kaa zakhm to ik pal mein bhi bhar saktaa hai
vo agar chaahein muqaddar bhi sanvar saktaa hai
log husn-o-adaa ke qaidi hain
aur ham rekhta ke qaidi hain
dekh kar tujh ko aaj barsi hain
ek muddat se khushk thiin aankhein
dil pe koi malaal kyaa karnaa
chizein hoti hain TuTne ke liye
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi