Shayari
tere bas mein hai mo'tabar kar de
main huun qatra mujhe guhar kar de
dil pe koi malaal kyaa karnaa
chizein hoti hain TuTne ke liye
دل پہ کوئی ملال کیا کرنا
چیزیں ہوتی ہیں ٹوٹنے کے لئے
दिल पे कोई मलाल क्या करना
चीज़ें होती हैं टूटने के लिए

tere bas mein hai mo'tabar kar de
main huun qatra mujhe guhar kar de
dekhtaa roz hai vo mujh ko magar jaane kyon
chaand se apni koi baat nahin hoti hai
du'aa karo ki koi raah vasl ki nikle
tamaam 'umr muhaajir nahin raheinge ham
hijr kaa zakhm to ik pal mein bhi bhar saktaa hai
vo agar chaahein muqaddar bhi sanvar saktaa hai
log husn-o-adaa ke qaidi hain
aur ham rekhta ke qaidi hain
dekh kar tujh ko aaj barsi hain
ek muddat se khushk thiin aankhein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin