Shayari
ab gham kaa koi gham na khushi ki khushi mujhe
aakhir ko raas aa hi gai zindagi mujhe
A
Anees Ahmad Aneesgavaaraa hi na thi jin ko judaai meri dam-bhar ki
unhin se aaj meri shakl pahchaani nahin jaati
گوارا ہی نہ تھی جن کو جدائی میری دم بھر کی
انہیں سے آج میری شکل پہچانی نہیں جاتی
गवारा ही न थी जिन को जुदाई मेरी दम-भर की
उन्हीं से आज मेरी शक्ल पहचानी नहीं जाती
ab gham kaa koi gham na khushi ki khushi mujhe
aakhir ko raas aa hi gai zindagi mujhe
main vo rind-e-nau nahin huun jo zaraa si pi ke bahkun
abhi aur aur saaqi ki main phir sambhal rahaa huun
kabhi ik baar haule se pukaaraa thaa mujhe tum ne
kisi ki mujh se ab aavaaz pahchaani nahin jaati
udhar vo ahd-o-paimaan-e-vafaa ki baat karte hain
idhar mashq-e-sitam bhi tark farmaayaa nahin jaataa
hamin ne chun liye phulon ke badle khaar daaman mein
faqat gulchin ke sar ilzaam Thahraayaa nahin jaataa
tavaaf-e-maah karnaa aur khalaa mein saans lenaa kyaa
bharosa jab nahin insaan ko insaan ke dil par
khamoshi se adaa ho rasm-e-duri
koi hangaama barpaa kyuun karein ham
ye amal ret ko paani nahin banne detaa
pyaas ko apni saraabon se alag rakhtaa huun
amir-e-kaarvaan hai tang ham se
hamaaraa raastaa sab se alag hai
qurbatein laakh khub-surat hon
duriyon mein bhi dilkashi hai abhi
tamaam umr yuun hi ho gai basar apni
shab-e-firaaq gai roz-e-intizaar aayaa
ji DhunDhtaa hai ghar koi donon jahaan se duur
is aap ki zamin se alag aasmaan se duur