Shayari
to kyaa huaa jo galaa ye rasan mein rahne lagaa
maza to daana-e-haq kaa dahan mein rahne lagaa
har taraf gahri siyaahi hai muhit-e-'ishq mein
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuaan kitnaa huaa
ہر طرف گہری سیاہی ہے محیط عشق میں
ایک شمع دل کے بجھنے سے دھواں کتنا ہوا
हर तरफ़ गहरी सियाही है मुहीत-ए-'इश्क़ में
एक शम'-ए-दिल के बुझने से धुआँ कितना हुआ

to kyaa huaa jo galaa ye rasan mein rahne lagaa
maza to daana-e-haq kaa dahan mein rahne lagaa
dekhaa hai kisi aahu-e-khush-chashm ko us ne
aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai
is pe hairaan hain kharidaar ki qimat hai bahut
mere gauhar ki tab-o-taab nahin dekhte hain
ye khaana hamesha se viraan hai
kahaan koi dil ke makaan mein rahaa
ham tere aasmaan mein ai harf-e-e'tibaar
uDnaa to chaahte hain magar par kahaan se laaein
dastak pe ab gharon se koi boltaa nahin
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaan na thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
shauq hai tujh ko zamaane mein tiraa naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat miri bad-naam na ho
kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diyaa
kisi shaah-zaadi ke ishq ne miraa dil sitaaron se bhar diyaa
husn kaa har khayaal raushan hai
ishq kaa muddaaa kise maalum