Shayari
chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin
jo dil baandhe vo jaadu jaantaa hai
miraa mahbub urdu jaantaa hai
جو دل باندھے وہ جادو جانتا ہے
مرا محبوب اردو جانتا ہے
जो दिल बाँधे वो जादू जानता है
मिरा महबूब उर्दू जानता है

chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin
karnaa hai aap ko jo nae raaston ki khoj
sab jis taraf na jaaein udhar jaanaa chaahiye
aap kaa koi safar be-samt be-manzil na ho
zindagi aisi na jiinaa jis kaa mustaqbil na ho
aap ki baaton mein aa kar kho diyaa dil kaa sukun
zindagi mein dekhiye meri bachaa kuchh bhi nahin
uDaa gae hain bahut dhuul jaane vaale log
chhaTe ghubaar to kuchh raasta nazar aae
us bevafaa pe marne ko aamaada dil nahin
lekin vafaa ki zid hai ki mar jaanaa chaahiye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
raat guzre na dard-e-dil Thahre
kuchh to baDh jaae kuchh to ghaT jaae
aankh nam rukh par udaasi dard bhi dil ke qarib
kyaa mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib
jahaan pe khatm huaa karti hain khirad ki hadein
vahin se asl mein hotaa hai dil kaa kaam shuru'
dil thaamtaa ki chashm pe kartaa tiri nigaah
saaghar ko dekhtaa ki main shisha sambhaaltaa