Shayari
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
jahaan pe khatm huaa karti hain khirad ki hadein
vahin se asl mein hotaa hai dil kaa kaam shuru'
جہاں پہ ختم ہوا کرتی ہیں خرد کی حدیں
وہیں سے اصل میں ہوتا ہے دل کا کام شروع
जहाँ पे ख़त्म हुआ करती हैं ख़िरद की हदें
वहीं से अस्ल में होता है दिल का काम शुरू'

hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
sirf kahne ko hai nai duniyaa
vo hi dastur hai vahi duniyaa
hamein qubul nahin chhoTaa munh baDi baatein
misaal bante hain aur phir misaal dete hain
jab bhi kashti bhanvar mein aai hai
ik du'aa bhi asar mein aai hai
koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae
tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
yaad-e-farogh-e-dast-e-hinaai na puchhiye
har zakhm-e-dil ko rashk-e-namak-daan banaa diyaa
khalvat-e-jaan mein tiraa dard basaanaa chaahe
dil samundar mein bhi divaar uThaanaa chaahe
ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-khasta-dil
is kaa hai aaghaaz shirin aur hai anjaam talkh
kyuun na kaabe ko kahun allaah kaa aur but kaa ghar
vo bhi mere dil mein hai aur ye bhi mere dil mein hai