Shayari
aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
kaDaa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae
digar-gun hain mire haalaat jab se tum nahin aae
کڑا ہے دن بڑی ہے رات جب سے تم نہیں آئے
دگرگوں ہیں مرے حالات جب سے تم نہیں آئے
कड़ा है दिन बड़ी है रात जब से तुम नहीं आए
दिगर-गूँ हैं मिरे हालात जब से तुम नहीं आए

aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
miri hayaat hai bas raat ke andhere tak
mujhe havaa se bachaae rakho savere tak
divaar-e-zindaan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiThaa huun
kabhi rotaa thaa us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone lagaa huun
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
'shuur' sirf iraade se kuchh nahin hotaa
amal hai shart iraade sabhi ke hote hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
biis baras se ik taare par man ki jot jagaataa huun
divaali ki raat ko tu bhi koi diyaa jalaayaa kar
us se hi to chalte hain kaarobaar gulshan ke
vo hi raat-raani hai vo hi gul-hazaara hai
ham kis ko dikhaate shab-e-furqat ki udaasi
sab khvaab mein the raat ko bedaar hamin the