Shayari
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
ham kis ko dikhaate shab-e-furqat ki udaasi
sab khvaab mein the raat ko bedaar hamin the
ہم کس کو دکھاتے شب فرقت کی اداسی
سب خواب میں تھے رات کو بیدار ہمیں تھے
हम किस को दिखाते शब-ए-फ़ुर्क़त की उदासी
सब ख़्वाब में थे रात को बेदार हमीं थे

bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
jahaan kuchh dard kaa mazkur hogaa
hamaaraa sher bhi mashhur hogaa