Shayari
dekhe na faqiri ko koi shak se hamaari
divaar mein dar bantaa hai dastak se hamaari
zavaal-e-umr mein kaa'be ki aarzu kaisi
'aqil' raat gae kyaa kisi ke ghar jaanaa
زوال عمر میں کعبے کی آرزو کیسی
عقیلؔ رات گئے کیا کسی کے گھر جانا
ज़वाल-ए-उम्र में का'बे की आरज़ू कैसी
'अक़ील' रात गए क्या किसी के घर जाना

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
zindagi puchh na baiThe tire baare mein kahin
teri tasvir banaate hue Dar lagtaa hai