Shayari
tujhe aaghaaz hi se paDh liyaa thaa
tire chehre pe sab likhaa huaa thaa
khvaab mein jaagti be-khvaabi pataa puchhti hai
kyaa kahein niind bhi hoti hai sulaane vaali
خواب میں جاگتی بے خوابی پتا پوچھتی ہے
کیا کہیں نیند بھی ہوتی ہے سلانے والی
ख़्वाब में जागती बे-ख़्वाबी पता पूछती है
क्या कहें नींद भी होती है सुलाने वाली

tujhe aaghaaz hi se paDh liyaa thaa
tire chehre pe sab likhaa huaa thaa
nashtar jaisaa andar ik chubhtaa kaanTaa hai
jaane us ne dukh baanTaa yaa dil baanTaa hai
ab bhi mat puchh mire dil mein hai kyaa rahne de
baat vaise bhi nahin tujh ko bataane vaali
sab mumkin hai farz hi kar lo
khushbu apni ok mein bhar lo
din ki aankhein band hui hain
aankhon mein hai raat khabar lo
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hal kar liyaa majaaz haqiqat ke raaz ko
paai hai main ne khvaab ki taabir khvaab mein
ham se ziyaada kaun samajhtaa hai gham ki gahraai ko
ham ne khvaabon ki miTTi se paaTaa hai is khaai ko
mujhe chakhte hi kho baiThaa vo jannat apne khvaabon ki
bahut miltaa huaa thaa zindagi se zaaiqa meraa