Shayari
main vusaton se bichhaD ke tanhaa na ji sakungaa
mujhe na roko mujhe samundar bulaa rahaa hai
A
Arshad Nayeemshaam Dhalte hi dil ke aangan se
dard kaa kaarvaan guzartaa hai
شام ڈھلتے ہی دل کے آنگن سے
درد کا کارواں گزرتا ہے
शाम ढलते ही दिल के आँगन से
दर्द का कारवाँ गुज़रता है
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
jo guzarte hain 'daagh' par sadme
aap banda-navaaz kyaa jaanein
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun