Shayari
khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun
میں غم کو بسا رہا ہوں دل میں
بے گھر کو مکان دے رہا ہوں
मैं ग़म को बसा रहा हूँ दिल में
बे-घर को मकान दे रहा हूँ

khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hotaa hai 'salim'
ye bhi khultaa nahin kis shai ki kami lagti hai
jaane andar kyaa huaa main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahunchaa to dekhaa band vo darvaaza thaa
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der
main us ko bhuul gayaa thaa vo yaad saa aayaa
zamin hili to main samjhaa ki zalzala aayaa
jitnaa aankh se kam dekhun
utni duur dikhaai de
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yakka ulaT ke rah gayaa ghoDaa bhaDak gayaa
kaali saDak pe chaand saa chehra chamak gayaa
halqa-e-zanjir se niklaa na ye paa-e-junun
gham nahin baahar gayaa go halqa-e-islaam se
tasadduq hone vaale pis na jaaein
uThaae haath se daaman ko chaliye