Shayari
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
A
Asad Ali Khan Qalaqkyaa koi dil lagaa ke kahe sher ai 'qalaq'
naaqadri-e-sukhan se hain ahl-e-sukhan udaas
کیا کوئی دل لگا کے کہے شعر اے قلقؔ
ناقدریٔ سخن سے ہیں اہل سخن اداس
क्या कोई दिल लगा के कहे शे'र ऐ 'क़लक़'
नाक़द्री-ए-सुख़न से हैं अहल-ए-सुख़न उदास
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
sindur us ki maang mein detaa hai yuun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyaah mein
phir mujh se is tarah ki na kijegaa dil-lagi
khair is ghaDi to aap kaa main kar gayaa lihaaz
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vo gham ataa kiyaa dil-e-divaana jal gayaa
aisi bhi kyaa sharaab ki paimaana jal gayaa
har qadam raah mein milte hain shanaasaa chehre
har qadam raah mein milti hai nai tanhaai
hain kushtagaan-e-sadaa aakhiri kinaare par
ai khaamushi tiri tarsil hone vaali hai