Shayari
bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
letaa nahin kisi kaa pas-e-marg koi naam
duniyaa ko dekhnaa hai to duniyaa se jaa ke dekh
لیتا نہیں کسی کا پس مرگ کوئی نام
دنیا کو دیکھنا ہے تو دنیا سے جا کے دیکھ
लेता नहीं किसी का पस-ए-मर्ग कोई नाम
दुनिया को देखना है तो दुनिया से जा के देख

bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
aate hain barg-o-baar darakhton ke jism par
tum bhi uThaao haath ki mausam duaa kaa hai
jise na meri udaasi kaa kuchh khayaal aayaa
main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa
chaman vahi ki jahaan par labon ke phuul khilein
badan vahi ki jahaan raat ho gavaaraa bhi
mohabbatein bhi usi aadmi kaa hissa thiin
magar ye baat puraane zamaane vaali hai
meri rusvaai ke asbaab hain mere andar
aadmi huun so bahut khvaab hain mere andar
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
maut ke baa'd bhi marne pe na raazi honaa
yahi ehsaas to sarmaaya-e-din hotaa hai
jo kaam karne hain us mein na chaahiye taakhir
kabhi payaam ajal naa-gahaan bhi aataa hai
bad-tar hai maut se bhi ghulaami ki zindagi
mar jaaiyo magar ye gavaaraa na kijiyo
khub-o-zisht-e-jahaan kaa farq na puchh
maut jab aai sab baraabar thaa