Shayari
palkein ghaneri gopiyon ki Toh liye hue
raadhaa ke jhaankne kaa jharoka ghazab ghazab
kuchh der fikr aalam-e-baalaa ki chhoD do
is anjuman kaa raaz isi anjuman mein hai
کچھ دیر فکر عالم بالا کی چھوڑ دو
اس انجمن کا راز اسی انجمن میں ہے
कुछ देर फ़िक्र आलम-ए-बाला की छोड़ दो
इस अंजुमन का राज़ इसी अंजुमन में है

palkein ghaneri gopiyon ki Toh liye hue
raadhaa ke jhaankne kaa jharoka ghazab ghazab
aaj kuchh mehrbaan hai sayyaad
kyaa nasheman bhi ho gayaa barbaad
karam par bhi hotaa hai dhokaa sitam kaa
yahaan tak alam-aashnaa ho gae ham
baat khote jo iltijaa karte
ai dil-e-naa-muraad kyaa karte
jo sazaa diije hai bajaa mujh ko
tujh se karni na thi vafaa mujh ko
qaasid payaam un kaa na kuchh der abhi sunaa
rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-khabar mujhe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ishq khud apni jagah mazhar-e-anvaar-e-khudaa
aql is soch mein gum kis ko khudaa kahte hain
tumhaari bazm se nikle to ham ne ye sochaa
zamin se chaand talak kitnaa faasla hogaa
apne ehsaas ki shiddat ko bujhaane ke liye
main nai tarz ke khush-fikr risaale maangon
pahle nisaab-e-aql huaa ham se intisaab
phir yuun huaa ki qatl bhi ham kar diye gae