Shayari
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
du’aa-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai
hamaare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai
دعائے دست فضیلت سے سر کی رونق ہے
ہمارے گھر کے بزرگوں سے گھر کی رونق ہے
दु’आ-ए-दस्त-ए-फ़ज़ीलत से सर की रौनक़ है
हमारे घर के बुज़ुर्गों से घर की रौनक़ है

baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
zindagi se bahut der tak
zindagi par hi chiq chiq hui
meri fikr nahin hai tujh ko apni fikr to karni hogi
teraa naam bhi mailaa hogaa meri bhi rusvaai mein
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi