Shayari
tire kuche mein koi huur aa jaati to main kahtaa
ki vo jannat to kyaa jannat hai jannat aisi hoti hai
apne mauqe pe har ik baat bhali hoti hai
shab-e-furqat mein ye sadme bhi mazaa dete hain
اپنے موقع پہ ہر اک بات بھلی ہوتی ہے
شب فرقت میں یہ صدمے بھی مزا دیتے ہیں
अपने मौक़े पे हर इक बात भली होती है
शब-ए-फ़ुर्क़त में ये सदमे भी मज़ा देते हैं

tire kuche mein koi huur aa jaati to main kahtaa
ki vo jannat to kyaa jannat hai jannat aisi hoti hai
jalva nigaah mein hai kisi be-niyaaz kaa
putli hamaari aankh ki putlaa hai naaz kaa
na chitvan aap ki Thahri na dil miraa Thahraa
use sukun ho to is ko bhi kuchh qaraar rahe
aarzu ik but ki le kar jaate hain kaabe ko ham
turfa tohfa paas hai ahl-e-haram ke vaaste
gadaa-e-kucha-e-jaanaan huun martaba hai baDaa
ki mere naam hai jaagir be-navaai ki
agar nazaara hai manzur khastaa-haalon kaa
to aao khol dein juuDaa tumhaare baalon kaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
na the aashiq kisi be-daad par ham jab talak 'taabaan'
hamaare dil ke taiin kuchh dard-o-gham tab tak na thaa hargiz
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain