Shayari
bhuul baiThaa huun main zamaane ko
ab zamaana bhi bhuul jaae mujhe
ye dil mein vasvasa kyaa pal rahaa hai
tiraa milnaa bhi mujh ko khal rahaa hai
یہ دل میں وسوسہ کیا پل رہا ہے
ترا ملنا بھی مجھ کو کھل رہا ہے
ये दिल में वसवसा क्या पल रहा है
तिरा मिलना भी मुझ को खल रहा है

bhuul baiThaa huun main zamaane ko
ab zamaana bhi bhuul jaae mujhe
teraa meraa hai gumaan kaa rishta
tu hai meri tiri ijaad huun main
aansuon ko fuzul mat samjho
ye baDe qimti sahaare hain
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aae mujhe
jatan to khuub kiye us ne Taalne ke magar
main us ki bazm se us ke javaab tak na uThaa
ye miri bazm nahin hai lekin
dil lagaa hai to lagaa rahne do
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye na jaanaa the ki us mahfil mein dil rah jaaegaa
ham ye samjhe the chale aaeinge dam bhar dekh kar
laakh aabaad-e-tamannaa ho ke dil
phir bhi viraan hai na jaane kis liye
khushi daaman-kashaan hai dil asir-e-gham hai barson se
hamaari zindagi kaa ek hi aalam hai barson se
kaise us ko dil ki haalat samjhaaun
baat karun to aankh churaane lagtaa hai