Shayari
unhein ye fikr ki dil ko kahaan chhupaa rakkhein
hamein ye shauq ki dil kaa khasaara kyunkar ho
hazaar raaste badle hazaar svaang rache
magar hai raqs mein sar par ik aasmaan vahi
ہزار راستے بدلے ہزار سوانگ رچے
مگر ہے رقص میں سر پر اک آسمان وہی
हज़ार रास्ते बदले हज़ार स्वाँग रचे
मगर है रक़्स में सर पर इक आसमान वही

unhein ye fikr ki dil ko kahaan chhupaa rakkhein
hamein ye shauq ki dil kaa khasaara kyunkar ho
nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk nai rut ki ibtidaa mein hai
havaaein shahr ki aaluda-e-kasaafat hain
ye saaf-suthraa-pan aur ye nafaasatein jhuTi
tumhaare dard se jaage to un ki qadr khuli
vagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan vahi
tum mire kamre ke andar jhaankne aae ho kyuun
so rahaa huun chain se huun Thiik hai sab Thiik hai
ham bhi 'aslam' isi gumaan mein hain
ham ne bhi koi zindagi ji thi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
'qatil' ab dil ki dhaDkan ban gai hai chaap qadmon ki
koi meri taraf aataa huaa mahsus hotaa hai
tum maang rahe ho mire dil se miri khvaahish
bachcha to kabhi apne khilaune nahin detaa
de ise bhi farogh-e-husn ki bhiik
dil bhi lag kar qataar mein aayaa
takhliq-e-kaaenaat ke dilchasp jurm par
hanstaa to hogaa aap bhi yazdaan kabhi kabhi