Shayari
unhein ye fikr ki dil ko kahaan chhupaa rakkhein
hamein ye shauq ki dil kaa khasaara kyunkar ho
nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk nai rut ki ibtidaa mein hai
نمی اتر گئی دھرتی میں تہہ بہ تہہ اسلمؔ
بہار اشک نئی رت کی ابتدا میں ہے
नमी उतर गई धरती में तह-ब-तह 'असलम'
बहार-ए-अश्क नई रुत की इब्तिदा में है

unhein ye fikr ki dil ko kahaan chhupaa rakkhein
hamein ye shauq ki dil kaa khasaara kyunkar ho
havaaein shahr ki aaluda-e-kasaafat hain
ye saaf-suthraa-pan aur ye nafaasatein jhuTi
tumhaare dard se jaage to un ki qadr khuli
vagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan vahi
tum mire kamre ke andar jhaankne aae ho kyuun
so rahaa huun chain se huun Thiik hai sab Thiik hai
hazaar raaste badle hazaar svaang rache
magar hai raqs mein sar par ik aasmaan vahi
ham bhi 'aslam' isi gumaan mein hain
ham ne bhi koi zindagi ji thi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
baad muddat ke gulaabon ki mahak aai hai
us ne pardes se bhejaa koi khat hai mujh ko
gale mein us ke khudaa ki ajiib barkat hai
vo boltaa hai to ik raushni si hoti hai