Shayari
nikal ke aa to gayaa gahre paaniyon se magar
kai tarah ke saraabon ne mujh ko gher liyaa
jab aayaa iid kaa din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phuul se bachchon ne mujh ko gher liyaa
جب آیا عید کا دن گھر میں بے بسی کی طرح
تو میرے پھول سے بچوں نے مجھ کو گھیر لیا
जब आया ईद का दिन घर में बेबसी की तरह
तो मेरे फूल से बच्चों ने मुझ को घेर लिया

nikal ke aa to gayaa gahre paaniyon se magar
kai tarah ke saraabon ne mujh ko gher liyaa
ab vaada-e-fardaa mein kashish kuchh nahin baaqi
dohraai hui baat guzarti hai giraan aur
vo aks ban ke miri chashm-e-tar mein rahtaa hai
ajiib shakhs hai paani ke ghar mein rahtaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
vo gali ham se chhuTti hi nahin
kyaa karein aas TuTti hi nahin
bachche meri ungli thaame dhire dhire chalte the
phir vo aage dauD gae main tanhaa pichhe chhuT gayaa
sadaaein Duub jaati hain havaa ke shor mein aur main
gali-kuchon mein tanhaa chikhtaa rahtaa huun baarish mein