Shayari
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
eid kaa chaand jo dekhaa to tamannaa lipTi
un se taqrib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa
عید کا چاند جو دیکھا تو تمنا لپٹی
ان سے تقریب ملاقات کا رشتہ نکلا
ईद का चाँद जो देखा तो तमन्ना लिपटी
उन से तक़रीब-ए-मुलाक़ात का रिश्ता निकला
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
'aarzu' jaam lo jhijak kaisi
pi lo aur dahshat-e-gunaah gai
ham 'aarzu' aae baiThe hain aur vo sharmaae baiThe hain
mushtaaq-nazar gustaakh nahin parda sarkaanaa kyaa jaane
huaa main rind-mashrab khaak mar kar is tamannaa mein
namaaz aakhir paDheinge vo kisi din to tayammum se