Shayari
udaasi anginat yaadein na jaane kitne bichhDe khvaab
kabhi dekhi hai yaaro tum ne vo aankhein december ki
ham se bichhDe hain kai log hamaare apne
ham ne har 'iid pe qurbaan kiyaa hai kuchh kuchh
ہم سے بچھڑے ہیں کئی لوگ ہمارے اپنے
ہم نے ہر عید پہ قربان کیا ہے کچھ کچھ
हम से बिछड़े हैं कई लोग हमारे अपने
हम ने हर 'ईद पे क़ुर्बान किया है कुछ कुछ

udaasi anginat yaadein na jaane kitne bichhDe khvaab
kabhi dekhi hai yaaro tum ne vo aankhein december ki
ham to shaa'ir hain hamein vasl ki parvaah nahin
ham tujhe apne khayaalaat mein chhu lete hain
khud-kushi karne ko dariyaa ki taraf jaataa huun
aur mil jaataa hai har roz kinaare koi
samar kaa chaahnaa hi sirf bejaa hai darakhton se
baraabar in darakhton ki hifaazat bhi zaruri hai
abhi to khuun bahaa hai firaaq mein tere
abhi ye jaan miri jaan ganvaanaa baaqi hai
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai