Shayari
paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf
aur ab ke raasta badlaa huaa meraa bhi hai
ham dil se rahe tez havaaon ke mukhaalif
jab tham gayaa tufaan to qadam ghar se nikaalaa
ہم دل سے رہے تیز ہواؤں کے مخالف
جب تھم گیا طوفاں تو قدم گھر سے نکالا
हम दिल से रहे तेज़ हवाओं के मुख़ालिफ़
जब थम गया तूफ़ाँ तो क़दम घर से निकाला

paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf
aur ab ke raasta badlaa huaa meraa bhi hai
tegh-e-nafas ko bahut naaz thaa raftaar par
ho gai aakhir mire khuun mein nahaa kar khamosh
guzarte jaa rahe hain qaafile tu hi zaraa ruk jaa
ghubaar-e-raah tere saath chalnaa chaahtaa huun main
dekh aa kar ki tire hijr mein bhi zinda hain
tujh se bichhDe the to lagtaa thaa ki mar jaaeinge
tere kuche ki havaa puchhe hai ab ham se
naam kyaa hai kyaa nasab hai ham kahaan ke hain
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki tamannaa thi masti mein manzil se bhi duur nikalte
apnaa bhi koi saathi hotaa ham bhi bahakte chalte chalte
mujh se kahaa jibril-e-junun ne ye bhi vahi-e-ilaahi hai
mazhab to bas mazhab-e-dil hai baaqi sab gumraahi hai
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharaab ek hai badle hue hain paimaane
ab kaargah-e-dahr mein lagtaa hai bahut dil
ai dost kahin ye bhi tiraa gham to nahin hai