Shayari
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
main tum se tark-e-ta'alluq ki baat kyuun sochun
judaa na jismon se 'anzar' kabhi bhi saae hue
میں تم سے ترک تعلق کی بات کیوں سوچوں
جدا نہ جسموں سے انظرؔ کبھی بھی سائے ہوئے
मैं तुम से तर्क-ए-तअल्लुक की बात क्यूँ सोचूँ
जुदा न जिस्मों से 'अनज़र' कभी भी साए हुए

use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
shaam ke dhundlakon mein Dubtaa hai yuun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna
manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa
gaanv ke parinde tum ko kyaa pataa bideson mein
raat ham akelon ki kis tarah guzarti hai
gham ki band muTThi mein ret saa miraa jivan
jab zaraa kasi muTThi zindagi bikharti hai
kisi ne bhejaa hai khat pyaar aur vafaa likh kar
qalam se kaam diyaa hai mujhe khudaa likh kar
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ikaTThe kar ke teri dusri tasvir khinchungaa
vo sab jalve jo chhan chhan kar tiri chilman se nikleinge
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
apni zabaan to band hai tum khud hi soch lo
paDtaa nahin hai yunhi sitam-gar kisi kaa naam
soch un ki kaisi hai kaise hain ye divaane
ik makaan ki khaatir jo sau makaan jalaate hain