Shayari
shaam ke dhundlakon mein Dubtaa hai yuun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
kisi ne bhejaa hai khat pyaar aur vafaa likh kar
qalam se kaam diyaa hai mujhe khudaa likh kar
کسی نے بھیجا ہے خط پیار اور وفا لکھ کر
قلم سے کام دیا ہے مجھے خدا لکھ کر
किसी ने भेजा है ख़त प्यार और वफ़ा लिख कर
क़लम से काम दिया है मुझे ख़ुदा लिख कर

shaam ke dhundlakon mein Dubtaa hai yuun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna
manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa
gaanv ke parinde tum ko kyaa pataa bideson mein
raat ham akelon ki kis tarah guzarti hai
gham ki band muTThi mein ret saa miraa jivan
jab zaraa kasi muTThi zindagi bikharti hai
tujh se mil kar bhi udaasi nahin jaati dil ki
tu nahin aur koi meri kami ho jaise
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
un se hanste hi hanste mohabbat si shai
hone vaali kahin thi magar ho gai
jahaan hasin hai mohabbat ki dil-navaazi se
magar ye raaz koi khaal-khaal hi jaane
dil hai gar pyaar se sarshaar to mumkin hai 'habib'
tu jidhar jaae vo raah-e-dar-e-jaanaana bane
aap pahlu mein jo baiThein to sambhal kar baiThein
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki