Shayari
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
gham ki band muTThi mein ret saa miraa jivan
jab zaraa kasi muTThi zindagi bikharti hai
غم کی بند مٹھی میں ریت سا مرا جیون
جب ذرا کسی مٹھی زندگی بکھرتی ہے
ग़म की बंद मुट्ठी में रेत सा मिरा जीवन
जब ज़रा कसी मुट्ठी ज़िंदगी बिखरती है

use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
shaam ke dhundlakon mein Dubtaa hai yuun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna
manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa
gaanv ke parinde tum ko kyaa pataa bideson mein
raat ham akelon ki kis tarah guzarti hai
tujh se mil kar bhi udaasi nahin jaati dil ki
tu nahin aur koi meri kami ho jaise
kisi ne bhejaa hai khat pyaar aur vafaa likh kar
qalam se kaam diyaa hai mujhe khudaa likh kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hazaar dard sameTe hue huun ik dil mein
bikhar gai jo miri daastaan to kyaa hogaa
soch lo kal kahin aansu na bahaane paD jaaein
khuun kaa kyaa hai ragon mein vo yunhi khaultaa hai
udaas shaam ki yaadon bhari sulagti havaa
hamein phir aaj puraane dayaar le aai