Shayari
fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa
khvaabon ki kirchiyaan miri muTThi mein bhar na jaae
aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jaae
خوابوں کی کرچیاں مری مٹھی میں بھر نہ جائے
آئندہ لمحہ اب کے بھی یوں ہی گزر نہ جائے
ख़्वाबों की किर्चियाँ मिरी मुट्ठी में भर न जाए
आइंदा लम्हा अब के भी यूँही गुज़र न जाए

fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa
tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
zaraa se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ik charaagh se kitne charaagh jalte the
ye raah-e-talab yaaro gumraah bhi karti hai
saamaan usi kaa thaa jo be-sar-o-saamaan thaa
aaina aaina tairtaa koi aks
aur har khvaab mein dusraa khvaab hai
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
be-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi
phir khvaab mein vo khvaab saa paikar milaa mujhe
aankhon ke khvaab dil ki javaani bhi le gayaa
vo apne saath meri kahaani bhi le gayaa
zindagi khud ko na is ruup mein pahchaan saki
aadmi lipTaa hai khvaabon ke kafan mein aisaa