Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ghair ko dard sunaane ki zarurat kyaa hai
apne jhagDe mein zamaane ki zarurat kyaa hai
غیر کو درد سنانے کی ضرورت کیا ہے
اپنے جھگڑے میں زمانے کی ضرورت کیا ہے
ग़ैर को दर्द सुनाने की ज़रूरत क्या है
अपने झगड़े में ज़माने की ज़रूरत क्या है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aaj teri yaad se Takraa ke TukDe ho gayaa
vo jo sadiyon se luDhaktaa ek patthar mujh mein thaa
paayaa jab se zakhm kisi ko khone kaa
sikhaa fan ham ne be-aansu rone kaa
kyaa tarjumaani-e-gham-e-duniyaa karein ki jab
fan mein khud apnaa gham bhi samoyaa na jaa sakaa