Shayari
ai shaam-e-hijr-e-yaar miri tu gavaahi de
main tere saath saath rahaa ghar nahin gayaa
baazaar-e-aarzu mein kaTi jaa rahi hai umr
ham ko kharid le vo kharidaar chaahiye
بازار آرزو میں کٹی جا رہی ہے عمر
ہم کو خرید لے وہ خریدار چاہئے
बाज़ार-ए-आरज़ू में कटी जा रही है उम्र
हम को ख़रीद ले वो ख़रीदार चाहिए

ai shaam-e-hijr-e-yaar miri tu gavaahi de
main tere saath saath rahaa ghar nahin gayaa
libaas dekh ke itnaa hamein gharib na jaan
hamaaraa gham tiri imlaak se ziyaada hai
isi liye to haar kaa huaa nahin malaal tak
vo mere saath saath thaa uruuj se zavaal tak
chaman ujaaDne vaalo tumhein khudaa samjhe
tumhein na aai hayaa phuul to hamaare gae
tu ne bhi saare zakhm kisi taur sah liye
main bhi bichhaD ke ji hi liyaa mar nahin gayaa
dene vaale tu mujhe niind na de khvaab to de
mujh ko mahtaab se aage bhi kahin jaanaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi bhar ki kamaai ye ta'alluq hi to hai
kuchh bache yaa na bache is ko bachaa rakhte hain
jo log maut ko zaalim qaraar dete hain
khudaa milaae unhein zindagi ke maaron se
jiinaa mushkil to bahut hai tiri is duniyaa mein
lekin is khvaab ko marnaa bhi nahin chaahiye hai