Shayari
khudaa ki razaa hai na haasil kisi ko
khudaa ke liye par laDaai bahut hai
dekhaa nahin jis ne mire tufaan ko sukun mein
vo shakhs miri ruuh ke andar nahin utraa
دیکھا نہیں جس نے مرے طوفاں کو سکوں میں
وہ شخص مری روح کے اندر نہیں اترا
देखा नहीं जिस ने मिरे तूफ़ाँ को सुकूँ में
वो शख़्स मिरी रूह के अंदर नहीं उतरा

khudaa ki razaa hai na haasil kisi ko
khudaa ke liye par laDaai bahut hai
sajde kaa sabab jaan ke shirin hai pareshaan
farhaad ne kah Daalaa ke rab DhunD rahaa huun
jis khaak se kahte ho vafaa ham nahin karte
soe hain usi khaak mein sultaan hazaaron
ye jo behaal saa manzar ye jo bimaar se ham tum
siyaasat ki navaazish hai kisi se kuchh nahin bolein
ye tamannaa hai khudaa aalam-e-hasti mein tire
main ayaan dekhnaa chaahun to nihaan tak dekhun
kahin suraagh nahin hai kisi bhi qaatil kaa
lahuluhaan magar shahr kaa nazaara hai
vafaa par naaz ham ko un ko apni bevafaai par
koi munh aaine mein dekhtaa hai koi paani mein
bhuul kar bhi koi letaa nahin ab naam-e-vafaa
ishq is shahr mein gardan-zadani ho jaise
ye adaa-e-be-niyaazi tujhe bevafaa mubaarak
magar aisi be-rukhi kyaa ki salaam tak na pahunche
roz-e-visaal jis ko kahti hai khalq vo hi
mazhab mein aashiqon ke roz-e-vafaat bhi hai
ahl-e-vafaa se tark-e-taalluq kar lo par ik baat kahein
kal tum in ko yaad karoge kal tum inhein pukaaroge
aayaa hi thaa abhi mire lab pe vafaa kaa naam
kuchh doston ne haath mein patthar uThaa liye