Shayari
ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
ajab junun hai ye intiqaam kaa jazba
shikast khaa ke vo paani mein zahr Daal aayaa
عجب جنون ہے یہ انتقام کا جذبہ
شکست کھا کے وہ پانی میں زہر ڈال آیا
अजब जुनून है ये इंतिक़ाम का जज़्बा
शिकस्त खा के वो पानी में ज़हर डाल आया

ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
shikastagi mein bhi kyaa shaan hai imaarat ki
ki dekhne ko ise sar uThaanaa paDtaa hai
raasto kyaa hue vo log ki aate-jaate
mere aadaab pe kahte the ki jiite rahiye
kisi ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThaanaa paDtaa hai
vo jis ke sehn mein koi gulaab khil na sakaa
tamaam shahr ke bachchon se pyaar kartaa thaa
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
main jaagtaa huun tiraa khvaab dekhne ke liye
hansiye charaagh ujaaliye paude lagaaiye
kuchh hausla baDhaaiye buDhi zamin kaa
us bevafaa kaa shahr hai aur vaqt-e-shaam hai
aaise mein aarzu baDi himmat kaa kaam hai
khud pe kyaa biit gai itne dinon mein tujh bin
ye bhi himmat nahin ab jhaank ke andar dekhun
haqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
nahin maalum kitne ho chuke hain imtihaan ab tak
magar tere vafaadaaron ki himmat hai javaan ab tak
lazzat-e-gham to bakhsh di us ne
hausle bhi 'adam' diye hote