Shayari
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
in hasraton se kah do kahin aur jaa basein
itni jagah kahaan hai dil-e-daagh-daar mein
ان حسرتوں سے کہہ دو کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میں
इन हसरतों से कह दो कहीं और जा बसें
इतनी जगह कहाँ है दिल-ए-दाग़-दार में

ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
kitnaa hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar mein
dekh dil ko mire o kaafir-e-be-pir na toD
ghar hai allaah kaa ye is ki to taamir na toD
kyaa taab kyaa majaal hamaari ki bosa lein
lab ko tumhaare lab se milaa kar kahe baghair
khvaab meraa hai ain bedaari
main to us mein bhi dekhtaa kuchh huun
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuza-gar main tiri mohabbat mein
apni surat bigaaD leti huun
zindagi ishq-o-mohabbat se javaan hoti hai
varna be-kaif si be-taab-o-tavaan hoti hai
bikherte raho sahraa mein biij ulfat ke
ki biij hi to ubhar kar shajar banaate hain
ishq mein kyaa nuqsaan nafa hai ham ko kyaa samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil kaa kaarobaar kiyaa