Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aap ne din banaa diyaa thaa jise
zindagi bhar vo raat yaad aai
آپ نے دن بنا دیا تھا جسے
زندگی بھر وہ رات یاد آئی
आप ने दिन बना दिया था जिसे
ज़िंदगी भर वो रात याद आई

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi kis tarah kaTegi 'saif'
raat kaTti nazar nahin aati
zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzaarun to koi raat suhaani aae
gham-e-hayaat kaa jhagDaa miTaa rahaa hai koi
chale bhi aao ki duniyaa se jaa rahaa hai koi