Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheDaa
jaise koi chuTki le narm narm gaalon mein
رات تیری یادوں نے دل کو اس طرح چھیڑا
جیسے کوئی چٹکی لے نرم نرم گالوں میں
रात तेरी यादों ने दिल को इस तरह छेड़ा
जैसे कोई चुटकी ले नर्म नर्म गालों में

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
un ko bhule hue apne hi sitam yaad aae
jab kisi ghair ne taDpaayaa to ham yaad aae
muskuraane kaa yahi andaaz thaa
jab kali chaTki to vo yaad aa gayaa
gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
yaad to haq ki tujhe yaad hai par yaad rahe
yaar dushvaar hai vo yaad jo hai yaad kaa haq