Shayari
sabab khaamoshiyon kaa main nahin thaa
mire ghar mein sabhi kam bolte the
hamaari baat kisi ki samajh mein kyuun aati
khud apni baat ko kitnaa samajh rahe hain ham
ہماری بات کسی کی سمجھ میں کیوں آتی
خود اپنی بات کو کتنا سمجھ رہے ہیں ہم
हमारी बात किसी की समझ में क्यूँ आती
ख़ुद अपनी बात को कितना समझ रहे हैं हम

sabab khaamoshiyon kaa main nahin thaa
mire ghar mein sabhi kam bolte the
ham saraabon mein hue daakhil to ye ham par khulaa
tishnagi sab mein thi lekin tishnagi mein kaun thaa
main thoDi der bhi aankhon ko apni band kar luun to
andheron mein mujhe ik raushni mahsus hoti hai
hamaare haal pe ab chhoD de hamein duniyaa
ye baar baar hamein kyuun bataanaa paDtaa hai
kahin jaise main koi chiiz rakh kar bhuul jaataa huun
pahan letaa huun jab dastaar to sar bhuul jaataa huun
ghar se nikal kar jaataa huun main roz kahaan
ik din apnaa pichhaa kar ke dekhaa jaae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa