Shayari
dil ki dharti par vafaa kaa moajiza rakkhaa gayaa
phir dilon ke darmiyaan kyuun faasla rakkhaa gayaa
mire naqsh-e-qadam par ahl-e-dil kaa qaafila hogaa
main apni raah mein aisi baghaavat chhoD aai huun
مرے نقش قدم پر اہل دل کا قافلہ ہوگا
میں اپنی راہ میں ایسی بغاوت چھوڑ آئی ہوں
मिरे नक़्श-ए-क़दम पर अहल-ए-दिल का क़ाफ़िला होगा
मैं अपनी राह में ऐसी बग़ावत छोड़ आई हूँ

dil ki dharti par vafaa kaa moajiza rakkhaa gayaa
phir dilon ke darmiyaan kyuun faasla rakkhaa gayaa
meri sochon par usi ki dastaras hone lagi
us ki saari jiit meri maat se mansub hai
sochaa hi nahin tum ne zaraa baat se pahle
kyon shart rakhi tum ne mulaaqaat se pahle
is baar to munsif se koi chuuk hui hai
kyon jiit kaa elaan huaa maat se pahle
mire alfaaz mein us ki halaavat ho gai daakhil
mire lahje mein shaamil ho gai hai guftugu us ki
hamaare zarf kaa logon ne imtihaan liyaa
zaraa si baat kaa dil mein malaal kyaa rakhte
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin